Monday, July 1, 2013

Kalam-Kaifiyat


Kalam-kaifiyat ko bhi aag aur ishq ki tarah
Bujhaane ki koshish karte hain log.

Daal do mujhe andheri kaal-kothhari mein, lekin
Kya lafzon ki udaan par zor hai kisika?
Kaale andhere mein, kaali syaahi se utarte hain yeh
Timtimaate hue alfaaz, aur
Raah dikhaate hain kabhi bhatke hue raahi ko.
Kabhi saath dete hain neend se haari aankhon ka.
Kabhi ban jaate hain tohfa mohabbat ke naam par.

Kalam-kaifiyat ko bhi aag aur ishq ki tarah
Jitna bujhaao, utna bhadakti hai.



(Kaifiyat = The state of intoxication)